1⃣1⃣ASMAT E AYESHA SIDDIQUA ‎رضي الله عنهما ‏

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ASMAT E AYESHA SIDDIQUA رضی اللہ عنہ 🥀*



*🅿ART ➖ 1⃣1️⃣*

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*

💝💝🌟🌟💝💝🌟🌟💝💝

💚 *Isko ek asaan misaal se samjhe k ek baadshah ki koi cheez gum hogayi, kuch mukhalif logon ne chori ka ilzaam baadshah k wazeer e aala k bete per lagaya, haalaanke k wazeer e aala ka beta be qusoor tha, wazeer e aala ko apne bete k be qusoor hone ka yaqeen k darje mein ilm hai.*

💙 Lekin waqt ka taqaza aur maslahat haalaat ye hai k wazeer khamoosh hi rahe, kyun k agar wazeer uthkar apne bete k be qusoor hone ka aelaan karega to ilzaam lagane waley mukhalifeen ka girwaah yahi kahega k apne bete ki muhabbat aur tarafdaari mein wazeer e aala apne ohdey aur mansab ka najayez faeda utha rahe hain.

💙 *Lehaza wazeer e aala sukoot ikhtiyaar karey yahi behtar o munasib hai, chahe tohmat ki aandhi kitni hi tez kyun na hojaye, iskey liye zaroori hai k sabar karey aur khamoosh rehkar us waqt ka intezaar akrey k haq baat waazeh hokar saamne aajaye.*

💜 Achanak ek din baadshah salamat ki taraf se aelaan hota hai k wazeer e eaala k farzand arjumand per chori ka jo ilzaam lagaya gaya hai ismey wo bari aur be qusoor hai, wazeer zaada diyanatdaar aur nek bakht hai, aese nek bakht per chori ka ilzaam lagana, zulm shadeed aur gunaah e azeem hai.

💜 *Hum wazeer zaada ko is chori ki tohmat se ba izzat bari karne ka aelaan karne k sath sath ye hukum naafiz farmate hain k jo log aese nek bakht aur diyanatdaar per ghalat ilzaam lagate hain unko kadi se kadi saza di jaaye, is aelaan k baad ilzaam lagane walon ko baadshah kodey lagwaye aur kodey lagane ka kaam apne wazeer k hath se anjaam dilwaaye.*

💛 Ab qarayeen e kiraam, sochey wazeer zaada ki izzat kisme badhi...???

💟 *Agar wazeer apne bete ki baraat ka aelan karta hai to isme wo izzat o shaan haasil na hoti jo izzat aur martaba baadshah k aelaan se haasil hua.*

💟 Theek isi misaal ko HAZRAT SAYYEDNA AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما k waqey mein zehen nasheen karkey sochey k HUZOOR E AQDAS ﷺ ki taraf se baraat o asmat k aelaan mein munafiqeen ko tarafdaari aur paasdaari k ilzaam ki gunjayish thi.

*📝 JAARI HAI InSha ALLAH...*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
https://chat.whatsapp.com/BlTnmJKrHakLQ0Y3Q9Q1KC

टिप्पणियाँ